Digi On Planet Rules and Regulation

Know Digi On Planet Rules and Regulation before you join


Rules and Regulations:
1. Digion Planet ek digital ad company he. Jiska kam shirf ad karna he. Kisi bhi tarah ke product & service ke sahi hone ki jimmedari company ki nahi he.
2. Company ko jo ads se income hoti he us ad income ko DGOnplanet apne users me share karti he.
3. Kisi bhi tarah ki help ke liye company ne email ya what's up subhidha de rakhi he. Jisme working days  3 din he apki problem ko 3 din ke andar solve kiya jata he.

4. Company Help Line no. par ya kisi bhi team member ke sath galat vyhvar ya upshabd ka proyog karne wale ki ID ko puri tarah se block kar sakti he iska adhikar company ke pas he.
5. Company se contact karne ka time subah 11 bje se sham 5 bje tk ka he. Jo ki only Monday to Saturday  he. Is time k alawa jiske bhi call aaye unki Account ID block ki ja sakti he.
6. Sunday ko company ki taraf se kisi bhi prakar ki koi service nhi di jayegi aur sunday ko koi call ya msg na krein. Esa krne pr apki id deactivate kr di ja skti he.


7. Company me call krne ka samay tay kiya gya he lekin  Jo bhi in rules and regulation ko nahi manta he aur company ko night ya early morning me bar bar call ya msg karke pareshan karta uske mobile no. and ID block kar di jayegi sath hi bina kisi soochna k  uski aur uske upliner ki id ko bhi deactivate kr diya jayega.
8. Company me Registration Free Digionplanet kisi bhi prakar ka Nivesh(Investment) nahi karvati he bs Activetion Fee Rs.499 lagene honge jo ki non refundable he tatha ye sirf ek mah tak hi valid hogi.
Company ad income ko apne users me share karti he.
9. Jab Apki ID ko wallet se Activate ya Upgrade kiya jayega to 499 rupay activation fee aur 10% Admin charge katega. yani har mahine aapke wallet se 549 rupay lagenge.

10. Wallet Income ko aap apne bank account me nikal sakte ho jiske liye kam se kam apko 500 ki withdrawal request lagani hoti he.

11. Wallet Income ko bank me transfer karne ke liye only Saturday ko 11:00AM se 5:00pm ke bich hi aap request laga sakte ho. Jo payment samanyta 24hrs se 72Hrs me aapke account me aa jata he.

12. Aapko milne wale ads apko roj dekhna he tabhi aapke wallet me earning ho payegi nahi to mahina pura hone par payment refund ke liye ya wallet income ke liye company ya team kisi bhi roop se jimmedar nahi hogi.


13. Aapke dwara dekhe gye ads ki Income ka 10% Shopping wallet me jata he jise aap bank me transfer nahi kar payenge.

14. Agar aap company se jud rahe ho ya aap kisi ko bhi apne downline me jod rahe he to use ye sabhi rules and regulation achchhe se samjha de kyonki bad me team ke company ya team ke sath abuse, misbehave ya refund mangne jaisi samsya ke liye team member ya company ki koi jawabdari nahi hogi.


15. Kabhi kabhi Server ya kisi other Technical problem ke hone ki vajah se payment transaction ya document verification me 72 hrs se bhi jyada time lag sakta he. Aapko isme company ka uchit sahog karna hoga and dherya banaye rakhna hoga.

16. Kisi bhi prakar ke Target Reward ya Jaruri sahayta ke liye company and members aapki uchit sahayata karenge magar aap apni samsya ya kisi kaam ko jaldi karvane ke liye company ya company se jude hue kisi bhi mamber ko jabardasti force nahi kar sakte.

17. Aap Company se sampark banaye rakhe kyonki Digionplanet ke Rules and Regulations update hote rahate he ye sabhi ke liye saman roop se many kiye jayenge.

18. Company ke niyamon ka ulanghan krne pr bina kisi soochna ke uski aur uske upliner ki id ko deactivate kr diya jayega ya puri tarah se band bhi kar diya ja sakta he.



19. Company ya koi bhi Downline member aapko sirf information deta he company se judne ya nhi judne ka final decision aapka khud ka he. Isliye company me sahi se behave karne aur sahi se reguler ads dekhne ki jawabdari aapki khud ki rahegi.

20. Profile me Update kiye jane wale jaroori documents (Jaise Aadhar card, Pan Card, Bank Passbook and other) apne khud ke va sahi se check karke hi lagaye kyonki galat documents ki vajah se payment kisi aur ke account me jana ya apki ID ka Deactivate hona jaisi samsya ke liye aap khud hi jimmedar honge.

Comments

Post a Comment